“Sardiyon Mein Jild Ko Chamakdar Banane Ke Organic Raaz”

Mausam-e-sarma ke aate hi bohot si auratein aur buzurg log apni sukhi aur rukhi jild se pareshaan nazar aate hain. Aksar log is maslay ka hal mehngi creams aur lotions mein dhoondte hain, magar hamesha yeh zaroori nahi hota ke yeh products faida hi dein. Achhi baat yeh hai ke hum gharelu totkon aur qudrati cheezon ke zariye bhi apni jild ka khayal rakh sakte hain.

Isi silsile mein Pakistan ki mashhoor actress Bushra Ansari ne ARY Digital ke morning show Good Morning Pakistan mein apna ek gharelu totka share kiya jo wo khud kaafi arsay se apnaye hui hain. Ye totka sirf asaan hi nahi, balke bohot faidemand bhi hai.

Sarson Ka Tel – Sukhi Jild Ka Asaan Ilaj

Bushra Ansari ka kehna hai ke wo mausam-e-sarma mein apni jild ki nami barqarar rakhne ke liye sarson ke tel ka istemal karti hain. Yeh tel jild ko naram aur mulaem banata hai aur rukhi jild ka masla khatam karta hai. Unhone mashwara diya ke:

  • Sarson ka tel raat ko sone se pehle lagayen.
  • Usse chehre aur hathon par halka masaj karein.
  • Subah uthane ke baad mun dho lein, aur jild naram aur chamakdar mehsoos hogi.

Nariyal Ka Tel Ka Istemaal

Agar sarson ka tel pasand na ho ya dastiyab na ho, to nariyal ka tel bhi ek acha badal hai. Nariyal ka tel jild ko gehraai tak moisturize karta hai aur sukhi jild ke liye zabardast hai.

Multani Mitti Aur Doodh Ka Mask

Bushra Ansari ne ek aur qudrati totka share kiya jo jild ke liye bohot mufeed hai.

  • Multani mitti aur doodh ka mask: Yeh mask jild ko tazgi aur chamak deta hai.
  • Iska istemal haftay mein ek ya do martaba karein, aur farq mehsoos hoga.

Vaseline Aur Ghee

Unho ne honton aur eriyon ki sukhi jild ke liye vaseline ya ghee lagane ka bhi mashwara diya. Yeh dono cheezein jild ki teh mein nami banaye rakhti hain aur sukhi aur phattee hui jild ke liye behtareen hain.

Qudrati Totkon Ka Faida

Bushra Ansari ka kehna hai ke gharelu totkay sirf saste nahi hote, balke yeh bina kisi nuksan ke jild ki qudrati khoobsurti ko barqarar rakhne mein madadgar hote hain. Agar aap bhi sukhi jild se pareshaan hain, to in gharelu totkon ko zaroor apnaayein aur mausam-e-sarma ke masail ka hal asaan aur qudrati tareeke se nikaalein.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *